Aayiye jante hain Manba Finance (MF) ke IPO (Initial Public Offering) ke baare mein Hindi mein. Manba Finance 2024 mein ek significant event ban gaya hai, aaj janenge iske Key Details, Subscription Status aur isse hone wale Market Impact.
Manba Finance IPO ki Key Details
Manba Finance ek non-banking financial company (NBFC) hai. Ye apna IPO 23 September 2024 ko open kiya tha aur yeh 25 September 2024 ko close hua tha. IPO ka price band ₹114 se ₹120 per equity share tha. Company ne ₹150.84 crore raise karne ka target rakha tha, jo ki entirely fresh issue of shares tha.
Is stock ka IPO investors ke beech bohot popular raha hai. Yeh company primarily vehicle financing mein deal karti hai aur apne strong customer base aur robust financial performance ke liye jani jati hai. Yeh IPO ke through raise kiye gaye funds ka use company apne capital base ko strengthen karne aur future growth ke opportunities ko explore karne ke liye karegi.
Subscription Status
Yeh IPO ko investors se bohot jyada response mila hai. Is IPO ko 223.12 times oversubscribe kiya gaya hai. Retail investors ke liye yeh IPO 71 times subscribe hua hai. Yeh subscription status company ke shares ke liye high demand ko dikhata hai jo ki retail investors ke liye ek positive point hai. Iske andar institutional investors aur high net-worth individuals (HNIs) ne bhi is IPO mein significant interest dikhaya hai.
Grey Market Premium (GMP)
Manba Finance ke shares grey market mein bhi ₹48 premium par trade kar rahe hain. Grey market ek unofficial market hota hai jahan par shares stock market mein list hone se pehle hi trade hone lagte hain. Yeh premium investors ke beech high interest ko dikhata hai. Grey Market Premium ke wajah se hume yeh bhi pata chal pata hai ki market participants ko company ke future prospects par strong confidence hai.
Allotment Status aur Listing
Manba Finance IPO ka allotment date 26 September 2024 ko finalize hone ki sambhavana hai. Refunds aur shares ka credit 27 September se shuru hoga. Agar koi aisa person hai jisko IPO ke baare mein nahi pata ki kaise allotment hota hai to main aapko short mein bata deta hoon ki jab koi company stock market mein list hoti ya register hoti hai to woh log ek chance dete hain investors ko ki us share ka jo bhi initial price hai usme purchase kar sakte hain. Jisse ki jab bhi share stock market mein list hoga tab agar yeh share initial price se jyada upar jata hai to isse investors ko jyada se jyada profit ho sake. Lekin kabhi kabhi iska ulta bhi ho sakta hai ki jo price par woh listed hua uske baad se agar stock niche ke aur aane laga to isse investors ko loss ho sakta hai.
Ab hum dekhte hain ki allotment kaise hota hai. Jab koi stock ka IPO aata hai to bohot log IPO lene ke liye apply karte hain lekin sabka IPO nahi lagta hai, kuch hi investors ka lag pata hai. Aaiye jante hain, aapko main ek example se samjhata hoon. Maan lijiye ki aapke paas 10 pen hain lekin lene wale 20 persons hain to aap kya karoge? Kisi bhi random ko 10 pen de doge aur baaki ko unke paise return kar doge. Thik isi tarah IPO mein bhi hota hai ki shares to jitne bhi ho, uske liye 71 times jyada subscribe hua hai. Yani aap samjho ki 1 share ke piche 71 investors ne paise lagaye hain lekin milega ek ko hi, baaki ko unke paise refund ho jayenge. Maine ye 1 share ka example diya hai, aise shares bohot hote hain jab IPO aata hai. Shares ka listing NSE aur BSE par 30 September 2024 ko hone ki sambhavana hai. Listing ke din shares ka performance investors ke liye kaafi important hoga, kyunki yeh unke returns ko directly impact karega.
IPO Details
IPO Price Band | ₹114 – ₹120 per equity share |
Subscription Status | 223.12 times oversubscribed |
Grey Market Premium | ₹48 per share |
Allotment Date | 26 September 2024 |
Listing Date | 30 September 2024 |